Search This Blog

Fazilat of 10 day of zilhajj month in islam


 Fazilat Of First 10 Day of Zil Hajj In Islam

Zil HaJJ Ke 10 din KI FAZILAT:

EId-al-Adha (Bakri-Eid), which is also known as Eid al-Adha or Id-UL-Adha, is a festival that many Muslims celebrate with special prayers, greetings and gifts. It is a gazetted holiday in India and is also referred to as the festival of sacrifice.

Zil-hijj Islamic saal ka aakhiri mahina hai aur hurmat waale 4 mahino mese ek,dhul hijjah mahine ke 10th din eid ul adha ka pahla din hota hai in 10 dino ka bayan qur'an me khaas taur se huwa hai.in 10 dino ki ahmiyat isse bhi wajeh hoti hai ki allah ne in dino ki QASAM khaayi hai.


In 10 dino me kiya jaane waalanek kaam allah ko saal ke baaki dino me kiye hue nek aamal se zyada pasand hai.(abu dawood). in 10 ki nafli ibadat dusre dino ki nafli ibadat se afzal hai, in dino ki farz ibadat dusre dino ki farz ibadat se afzal hai, yah matlab bhi nahi hai ki in dino ki nafli ibadat aam dino ki farz ibadat se bhi afzal hai(5 aham deeni masail)

 Main Fazilate:


9 Zil HaJJ ke din allah taala saal ke baaki dino ke mukaable me zyada logon ko jahannum ki aag se aazaadi deta hai (muslim)

Zil HaJJ ke 10 dino mese ek din 9 Zil HaJJ aisa hai Ki allah taala ne isme deen e islam ko muqammal hone ki khush khabri sunaayi thi.(sahih bukhari)


Zil HaJJ ka 10wa din sab dino se afzal hai. (abu dawood)

Ye fazilaton ki wajah yah hai ki in dino me tamam buniyaadi ibaadaten jama hoti hain, yani namaz, roza, hajj sadqa in dino ke elawa aur kisi din yah ibadaten jama nahi hoti (fath ul bari)


In dino justaju se ibadat karni chahiye.

khaas taur se allah ke siwa koi mabood nahi aur tamam taarif allah ke liye hai ka jikra zyada se zyada karna chahiye.


kuch sahaba(r.a) in dino me takbeeraat kahte they yaha tak ki bazaar me bhi inka wird karte aur inki takbiraat shuru kar dete (sahih bukhari)


9 Zil HaJJ ka roza rakhne se pichle ek saal ke gunah maaf ho jaate Hain (sahih muslim)

jo shakhs kurbani karna chahta hai wah in 10 dino me qurbani karne tak apne jism ke baal aur naakhun(nails) etc nahi kaat sakta(sahih muslim)



                                                              

  



If this post like you share it and follow us for more information about Islam post in comment your suggestion we are always want suggestion.

3 comments:

Ghr ka koi fard nae kat sakta nakhun or bal

Ya jis ky name py qurbani karni ho bas wo nae kat sakta

Just jis ke name se qurbani ho woh nahi kat sakta baki sab his ke name se nahi hai oska masla nahi ghar main. Jazzak Allah kher

Post a Comment