Gusal karne ke sunnati tarike aur gusal ke farz aur sunnat
Agar kisi ko khwab mein gandagi nikal jaati hai (wet dream), ya haath se koi gandagi nikaal deta hai - masturbate (haath se nikalna gunah hai), ya miya-biwi saath so lete hain, ya ladki periods se (menstrual) ho jaati hai to uske baad wo na-paak ho jaate hain, iske liye ghusl karna zaruri ho jata hai.
Naa-paak hone ke baad insan na namaz padh sakte hain na quran sharif ko haath laga sakte hain, isliye na-paak hone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tarike se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu.
Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai).Ghusl Ki Dilme Niyat Kare Sath Hi Zaban Se Kahe To Afzal Hai.
Nawaitu An Agtasil Min Ghusli Lirfaa'il Hadsi"
Tarzuma:
"Niyat Ki Maine Ke Ghusl Karu Napaki Ko Door Karne Ke Liye"
Niyat Se Murad Dil Me Pakka Irada Kar Lena Hai Aur Zaban Se Kehna Afzal Hai. Aap Yu Bhi Niyat Kar Sakte Hai
"Niyat Ki Maine Ghusl Ki Napaki Ja Kar Paaki Aane Ke Liye"
Agar Kisine Ghusl Ki Niyat Na Ki Tab Bhi Ghusl Ho Jayega Magar Niyat Jarur Kare.
Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu kar lijiye, lekin ghusl ke wuzu mein garare karna zaruri hai (agar roza ho to garara na karen). Jab pura wuzu kar chuke to 3 baar sar par paani daaliye, phir 3 baar sidhe kaandhe par paani daaliye, phir 3 baar ulte kaahnde par paani daaliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur phir pure badan ko haath se ragadiye, agar saabun (soap) laga rahe ho to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani fel jaaye, ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gai to ghusl pura na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye, apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, taango ke beech mein piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pahuch jaaye, ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to anguthi ko aage piche kare. Jab ye yakeen ho jaaye ki paani sab jagah pahuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya. aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska naakhun se nail polish ko saaf karne ke baad hi ghusl kare kyonki nail-polish ki wajah se naakhun par paani nahi jaaega, isliye ghusl nahi ho paata. Agar ghusl ko sahi tarike se nahi kiya gaya to insan agar poore dariya (sea) ke paani se bhi naha le to paak nahi hoga.
upar jo ghusl ka tarika bataya hai wo sunnati tarika hai, agar time kam ho to farz tarike se bhi ghusl kiya ja sakt hai lekin sunnat tarike se ghusl karne ka sawab zyada hai.
Farz tarika ye hai ke sabse pahle 3 baar garara kariye (roza ho to sirf kulli kariye) phir 3 baar naak ki naram haddi tak paani chadhaiye aur naak ko acche se saaf kariye, phir poore badan par paani bahaiye taake ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe. Girls ko anguthi, baali ko ghumana zaruri hai (jesa ke upar bataya hai)
Ghusl Me 3 Baate Farz Hai. Inme Se Koi Bhi Ek Rah Jaye To Ghusl Na Hoga. Aur Na Nahanewale Ko Sunnate Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Mutabiq Paakizgi Hasil Hogi.
Ghusl karne ke baad agar direct namaz padh lete hain to namaz ho jaaegi uske liye alag se wuzu karne ki zarurat nahi, lekin ghusl karne ke baad wuzu ko todne waala koi kaam kar diya to phir wuzu karna padhega.