Search This Blog

eid ul adha in 2016 tuesday on 13 september


When Eid ul adha in 2016/1437 and How to celebrate Eid ul Adha

Bismillah hir rahman nir raheem

Eid ul adha or Eid-ul-Adha(Bakra Eid)in 2016 on 13 September Tuesday

10th day of the twelfth month of ZILHIJJA as per the Hijri calendar.
Qurbani ke 3 din hain,12th ZILHIJJA ko sooraj doob jaane (GUROOB-e-AAFTAB) tak qurbani kar sakte hain...


Why celebrate Eid ul Adha and how celebrate Eid ul Adha





Hazrat Ibrahim A.S. Allah ke rasool hain. Allah Pak ne unka kaafi time unki sabar ka intehan(test) liya usme wo pass huve..

Allah pak ne ek baar Hazrat Ibrahim A.S. ka is tarah unki sabar ka intehan(test) liya ki. Hazrat Ibrahim A.S.  ne ek raat khwab mein dekha ki koi awaaz daeta hain. kehta hain ki "Ay Ibrahim. tumhe Khuda ka hukum hai ki Apne bete ko Raah-E-Khuda mein zibah/kurban kar do." isi tarah 3 din huva to Hazrat Ibrahim A.S.samaj gaye ki ye sach me allah pak ki vahi(paygam) he muja par. Hazrat Ibrahim A.S.  Apne pyare bete Hazrat Ismail A.S.ko ALLAH ki raah me Qurbaan karne ko ready ho gaye, Kyonki Allah ki marzi yahi thi. Hazrat Ibrahim A.S. ke us time ek hi bete the jinka naam Hazrat Ismail A.S. tha. Woh bhi 90 year ki umar mein Hazrat Ibrahim A.S. ke ghar peda huva tha.

Hazrat Ismail A.S. abhi chhote the. Isi liye Aapne unse sirf itna kaha ki beta Rassi aur ek chhoori (knife) lekar mere saath chalo.Bete ko lekar Aap ek jungal me chale gaye. Hazrat Ismayil A.S. ne pucha : Aap yeh chhoori aur Rassi lekar kyu chalte hai ?

Aap ne farmaya aage chalkar ek Qurbani zubah karege. fhir aage chalkar Hazrat Ibrahim A.S. ne saaf-saaf bata diya ki, beta Main toh ALLAH ki raah mein tujhe hi zubah karne aaya hoon. Maine khwab mein dekha hai ki main tujhe zubah kar raha hoon.

Beta yeh ALLAH ki Marzi hai bata teri marzi kya hai ? Hazrat Ismail A.S. ne jawab diya : "Abbajaan.! Jab ALLAH ki marzi yehi hain toh fhir meri marzi ka kya sawal ? Aapko jis baat ka hukum huwah hain Aap woh kijiye. Bete ki Allah se is tarah mohabbat ko jaankar Hazrat Ibrahim A.S. khush huwe aur Apne bete ko ALLAH ki raah mein qurban karne ko taiyyar ho gaye. ek baap apne bete ko zibah hote hue nahi dekh sakta, isliye aapne apni aankh par patti bandh li. 

Phir aapne bete ko maathe ke bal litaya aur gardan par chhoori (knife) rakhi aur use chalaya toh chhoori ne Gardan ko bilkul na kaata. choori ko tej kiya fir bhi na chali aur gusse me chhuri ko aapne patthar par maar diya to patthar ke do tukde ho gaye. Aapne aur jore se chhoori chalayi toh ek awaaz aayi 'bas kar, 


Aye Ibrahim Tumne Allah ke hukm ko pura kar dikhaya hai aur tum ek bahut bade imtehan mein pass ho gaye' aur us time allah pak ne Hajart Jbrail A.S.(allah ke fariste) ko bola javo ismail ki jagha jannat se ek dumma(bakre ki type) ko le jakar rakhdo. aur us time wo dumma kurban ho gya aur hazrat Ibhrahi A.s. ne dekha to ismail A.S. samne khade the.
Allah ko Hazrat Ibrahim A.S.ki yeh baat itni pasand aayi ki is kurbani ki yaad mein kayamat tak ke musalmano ke liye ek halal jaanwar (bakra, camel, sheep etc.) ki kurbani ka hukm de diya.

Allah ne Hazrat Ibrahim (A.S.) ka zikr karte hue Quran mein farmaya ki
 "ALLAH wale ALLAH ki raah mein sab kuch Qurbaan karne partaiyyar ho jate hai yaha tak ke aulaad bhi"