Search This Blog

what Nikah in islam explain in hindi urdu gujarati

Islam main Nikah kya hai aur Nikah ki fazilat


Bismilla hirrahma nirraheem

NIKAH KI FAZILAT:

Nikah wo kaam hai jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho jaayen" nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na kare woh Nabi(s.a.w.) ke tareeqe par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah karta hai allah uski madad karta hai.

Nikah na karne se zameen me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni miyan biwi me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti, nikah aadha deen he mardo ke liye aurton se badkar koi fitna nahi"(mishkaat 268)" .

Kunwari larki se nikah karna behtar hai khoobsoorti ka khyaal na kare balki deendaar aurat se nikah kare, musalman ke liye nek aurat se badhkar aur koi cheez nahi hai jis nikah me kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai, jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekhle kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi, nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori hai agar kunwari haito uska chup rahna kaafi haiaur talaaqshuda ko zabaan se kahna chahiye,


Nikah kis se ho sakta hain?

JINSE NIKAH NAHI kar sakte:

  • sauteli maa.
  •  sagi maa.
  •  beti.
  •  bahan.
  •  fufi.
  •  khala.
  •  bhateeji.
  •  bhaanji.
  •  dhoodh wali maa (daai)
  •  saas
  •  biwi ki beti jo pahle shauhar se ho
  • sage beton ki biwi se


  
do(2) sagi bahno se ek saathnikah me biwi aur uski fufi ko jama karna haraam hai aur isi tarah biwi wa uski khaala ka jama karna bhi haram hai, musalman mard ka nikah mushrika aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai, behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se nikaah kare isi tarah iman wali aurat ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,magar Musalmano ko yahudion wa isaayion ki paak daaman aurton se nikah karna jayez hain( mishkaat, bukhaari, surah nisa)