Importance Hadith about Day of Ashura in Islam
Day of ASHURA in 2017
In 2017 ASHURA will be on 1st October Sunday,
English mein jis tarah January, February ke mahine hote hain
wese hi Arabi aur urdu mein ek mahine ka name Moharram hai.
Ye arabi urdu calendar ka sabse pehla mahina hai, jese
English mein january hota hai.
Means 1st Muharram se islamic naya saal shuru hota hai lekin islam main
aisa koi celebration nahi kiya jata.
'Ashura' ek arabic word hai, jiska matlab hai 'Daswa Din'.Muharram
mahine ki 10 taarikh ko Hazrat Muhammad (S.A.W.) ke laadle nawase Imam Hussain
(R.A.) aur unke rishtedaaro, saathiyo ko shaheed kar diya gaya tha. Ye din
humko Imam Hussain (R.A.) ki shahadat ki yaad dilaata hai.
Is din hum kuch neki
ka kaam karke iska isaal-e-sawab Hazrat Hussain (R.A.) aur unke saathiyo ko pahuchana
chahiye. Lekin kafi log tajiya banate hain aur kuchh alag tarike se celebration
karte hain jo bilkul galat hain kyun ki islam main aisi koi hadith nahi ke
tajiya celebrate kare 10 muharram ko. Allah pak hum ko apko aur sabhi muslim ko
nek hidayt de sahi rasta dekhaye aur tajiya jesi gumrahi se bachaye.
kuch log ye samajhte
hain ke Moharram ('Yaum-e-Ashura') ki ahmiyat aur is din ka roza isliye rakha
jaata hai kyon ki is din Hazrat Hussain (R.A.) aur unke saathiyo ko pyasa
shaheed kar diya gaya tha.
Lekin aesa nahi hai, Islam mein Moharram mahina ki 10
taarikh (yaum-e-ashura) ki ahmiyat aur iska roza to Hazrat Hussain (R.A.) ki
shahadat se bhi pahle se rakha jata hai. Balke Hazrat Muhammad (S.A.W.) ke
duniya mein tashreef laane se bhi pahle dusre nabiyo ke time se hi Allah ne is
mahine ki 10 taarikh aur iske roze ko ahmiyat de rakhi thi.
(Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se is
din azaadi mili. Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki
ahmiyat thi aur aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
Hazrat Muhammad (S.A.W.) ne bhi is din roza rakhne ka hukm
apne sahaba ko diya tha,
(jab hazrat Hussain R.A.
ki shahadat bhi nahi hui thi)
Yaani islam mein is din ki ahmiyat aur roza rakhne ka
silsila to Hazrat Hussain (R.A.) ki
shahadat se bhi pehle se chala aa raha hai, aur Hazrat
Hussain (R.A.) ne bhi khud is din ka roza rakha tha .
Ye baat alag he ke Allah ne Hazrat Hussain (radiallahu anhu)
ki shahadat bhi is din kubul ki.
Assalamualaikum Allah pak hame aur aap sabhi ko sahi aamal karne ki taufiq atta farmaye.