Search This Blog

How to do niyyat of namaj

♠ Posted by uvesh in at Thursday, July 31, 2014

NAMAZ KI NIYYAT KAISE KI JAAYE????

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



NAMAZ KI NIYYAT KAISE KI JAAYE????



Aap(sws) farmate hain:

" amal ki buniyad niyaton par hai"


(bukhari,1,54,2529,3898,5070,2520, MUSLIM 1907)


isliye zaruri hai ki ham apne tamaan(jayez) kamon me(sabse) pahle niyyat kar liya karen kyonki jaisi niyat hogi waisa hi fal milega,

hz abu hurairah ra riwayat karte hain ki aap(sws) ne farmaya:-" ek shaheed, allah ke saamne qayamat me laya jaayega , allah usse puchhega ki, tune kya amal kiya? Wah kahega ki main teri raah me ladkar shaheed huwa, allah farmaayega: "tu jhoota hai balki tu isliye ladha tha ki tujhe bahadur kaha jaaye" isliye tu kaha gaya( yani teri niyat duniya me puri ho gayi, ab mujhse kya chaahta hai) phir muh ke bal ghaseet kar aag me daal diya jaayega,; isi tarah phir ek aalim jisne ilm, shohrat ki niyat se padha aur padhaya tha, allah ke saamne pesh hokar jahannum me jhonk diya jaayega, phir 1 shohrat ki garz Se khairaat karne waale maaldaar ka bhi yahi hashr hoga"


(muslim 1905)


isse malum huwa ki dilom ka haal sirf allah ki jaanta hai aur uske haath me ek nek wa bad ka aakhiri anjaam hai


wuju karte waqt dil me yah niyat karen ki allah ke saamne(namaz me) haazir hone ke liye paaki(wuju) karne laga hun aur phir jab namaz padhne lage to dil me yah iraada kare ki sirf allah hi ki khushnudi ke liye uska hukm baja laata hun


niyat kyonki dil se talluq rakhti hai isliye zabaan se ada karne ki koi zarurat nahi, aur niyat ka zabaan se ada karna aap(sws) ki sunnat aur sahaba ra ke amal se saabit nahi...


1- apne dil me kisi kaam ki niyat karna aur zarurat ke waqt kisi ko apni niyat se khabardaar karna ek jaayez baat hai, magar namaz se pahle niyat padhna aqal, farmaan, aur lugad teeno ke khilaaf hai:


1-AQAL

Aqal ki khilaf isliye hai ki anginat aise kaam hain jinko shuru karte waqt ham zabaan se niyat nahi Padhte kyonki hamare dil me unhe karne ki niyat aur iraada maujood hota hai jaise zakaat dene lagte hai to kabhi nahi padhte :-" main zakaat dene ki niyat karta hun" etc etc..,

to kya namaz hi ek aisa kaam hai jiske shuruat me uski niyat padhna zaruri ho gaya hai?? Namaz ki niyat to usi waqt ho jaati hai jab insan azaan sunkar masjid ki taraf chal padhta hai aur isi niyat ki wajah se use har qadam par nekiyan milti hai, isliye namaz shuru karte waqt jo kuch padha jaata hai wah niyyat nahi bidat hai.


2- FARMAAN:


farman ke khilaaf isliye hai ki nabi(sws) aur sahaba kiram baqaayedgi ke saath namaz padha karte they aur agar wah apni namazon se pahle "niyat" padhna chahte to aisa kar sakte they unke liye koi rukawat nahi thi, lekin unme se kabhi kisi ne namaz se pahle niyyat nahi padhi aur iske jawab me we hamesha apni namazon ki shuruat takbeer e tahreema(allahuakbar) se karte rahe, saabit huwa ki Namaz se pahle niyat padhna bidat hai


3- LUGAD(ARABIC DICTIONARY)


lugad ke isliye khilaf hai ki niyyat arabic zabaan ka alfaaz hai, arabic me iska maayna "iraada" hai aur iraada dil se kiya jaata hai zabaan se nahi, bilkul isi tarah jaise dekha aankh se jaata pair(leg) se nahi, dusre alfaazon me niyat dil se ki jaati hai, zabaan se padhi nahi jaati.




Imam ibne taiymiyya rh farmate hai ki alfaazon se niyat karna ulama muslimeen me se kisi ke nazdeek bhi sunnat nahi, aap(sws), aapke chaaron khaleefe aur baaki sahaba kiram ra aur na ki is ummat ke salaf aur aimma me se kisi ne alfazon se niyat ki, ibaadat me jaise wuzu, ghusl, namaz, roza, aur zakaat etc me jo niyat waajib hai, aam raaye saare muslim ulma ke nazdeek iski jagah DIL se hai

(fatawa kubra)

imam ibne hammam aur ibne qayyim bhi isko bidat kahte hain....


0 comments:

Post a Comment