♠ Posted by uvesh in Ramzan ki fazilat,ranzan ke bare me hadish at Friday, October 17, 2014
Ramzan Ki Fazilat in Islam
Ye azmat o barkat wala mahina khuda ki enayat aur rehmaton ka mahinah hai.
Shaban ki aakhri tareekh ko nabi (S.A) ne ramzan ki khush khabri dete huve farmaya : Tum par Ek bahot azmat o barkat wala mahina aane wala hai. Ye woh mahinah hai jis mein Ek raat 1000 mahino se behtar hai. Khuda ne is mahine key roze farz qarar diye hain aur masnoon taraweeh ko nafil qarar diya hai.
Jo shakhs is mahine mein dil ki khushi se bator khood koi ek nek kaam karega woh doosre mahino key farz key barbar swab payega aur jo shakhs is mahine mein ek farz ada karega khuda is ko doosre mahinon key sattar farzon key barabar sawab Dega.
ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai :
Jaisa Unpe Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye..
Taki Tum Gunaho Se Bacho,
Phir Tum Me Jo Bimar Ho Ya Safar Me Ho Wo Aur Dino Me Ginti Puri Kare (Bimari Ya Safar Khatm Hone Ke Bad Roza Rakhe),
Aur Jo TAQAT Nahi Rakhte (Boodha Aadmi Ya Aisa Bimar Jiske Tandurust Hone Ki Ummid Na Ho) Wo Fidya Den,
Eik Miskeen Ka Khana Phir Jo Ziyadah Bhalai Kare Ye Uske Liye Behtar Hai,
Aur Roza Rakhna Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
Post in comment your suggestion we are always want suggestion.
0 comments:
Post a Comment