Search This Blog

Sunnte rashul in islam

♠ Posted by test in at Friday, November 14, 2014

Sunnate Rasool Pe aamal Karna Aur Sunnte Felane ke Bare Me Hadish

Aaj Ke jmane me Jo Momin  Nabi ki Sunnato Follow Karega Use 100 Shahid ka swab diya jayega.

1. So kar Uthne ki Sunnate.






neend se uthte hi dono haatho se chehra or aankho ko malna taaki neend ka khumaar door ho jaye.

subah jab aankh khule to teen baar "alhadulillah" kahen or kalmae tayyeba 

"lailaha illallaho mohammadur rasoolullah padhkar ye niche di gayi dua padhe :

"alhamdulillahillazi ahyana baada maamatana wa ilaihinnushoor"


Jab so kar uthe to miswak jarur karle.
 

2. Miswak karne ki Sunnate

Agar Wazu Karte hoye miswak karliya jaye to namaz ka sawab 70 gunah (times) ziada ho jata hai.
ab muat aayegi to Zaban say kalma jari ho jaega or us ki muat  iman par hogi.
Khana Hazam hota hai
Burhapa Der sa ata ahi
Moo ki boo zayl karti hai

Sir ka Dard Door Hota hai.
Sir ki Ragon ko Sukoon milta hai
Nazar Tez hoti hai

3. Masjid Me Dakhil Hone aur bahar nikal ki Sunnate aur dua

Masjid mein dakhil hone se pehle nich di gayi duva padhe aur pehle right pair under rakhe:
 Allahumma Aftahli Abwaaba Rahmatika

Masjid se bahar nikalne se pehle nich di gayi duva padhe aur pehle left pair bahar rakhe:
Allahummaftah li abwaba rahmatik




4.  Ghar Me Dakhil Hone aur bahar nikalne ki Sunnate aur dua

Ghar me dakhil hone ki duva aur tariqa:
1.Ghar Walo Ko Salam Karna.

2.Pahle Right pair Ghar me Rakhna

3.ALLAH Ka Zikr Karte Hue Dakhil Hona

4.Ghar Me Dakhil Hone Ki Dua Padhna jo niche di gayi he:

5.Ghar Me Dakhil Hote Wakt Salam Karna
Chahe Koi Ho Ya Na Ho

6.Khikhar Kar Ya Darwaza Khat Khata Kar Es
Tarha Dakhil Hona Ki Ghar Walo Ko Malum Ho Jaaye.

Ghar se nikalne ki duva aur tariqa:
1.Ghar Walo Ko Salam Karke Nikalna

2.Pahle left pair Ghar Se Bahar Rakhna aur niche di gayi duva padhna

3.Wazu Sunnat K Muafiq Ghar Se Karna
Chahiye

4.Sunnat Namaz Ghar Par Padhkar
Jana..Mauqa Na Ho To Masjid Me Padhna

5.Itminaan Se Jana Daud Kar Na Jana
[Ye Sirf Masjid K Liye Hai]


6. Namaz ki 51 Sunnate.

7. Khana Khane ki Sunnate.

8. Paani pine ki Sunnate.

9. Kapde pahenne ki Sunnate.

10. Baal(Hair) Ki Sunnate.

11. Nakhun Kaat Ne Ki Sunnate.

12. Azan Ki Sunnate.

13. Sone ki Sunnate.

14. Safar(Travel) Ki Sunnate.

15. Nikah ki Sunnate.

16. Maut Aur Marne ke Baad ki Sunnate.





0 comments:

Post a Comment