Search This Blog

How to do Salam In Islam or Islam me Salam Karne ka tarika.

♠ Posted by test in at Thursday, February 12, 2015

       Rules For Make SALAM in Islam 

Salam ka sahi tarika Asalam.o.Alikom means "Tum par salamti ho"
Please Sirf "SALAM" Ya fir Message me A.O.A , WSLAM na likhe balke jo alfaje sunnat he wahi kaha kre. 

Rules 1 : 

Say : Assalam o Alaikum
Reply  : Walekum assalam

Fazilat : Apke aamal name me 10 neki likhi jayegi.
 
Rules 2 : 

Say: Assalam o Alaikum Warahmatullah
Reply : Walekum assalam Warahmatullah

 Fazilat : Apke aamal name me 20 neki likhi jayegi.

Rules 3 : 
 
Say: Assalam o Alaikum Warahmatullahe Wabarakaatu
Reply : Walekum assalam Warahmatullah Wabarakaatu

Fazilat : Apke aamal name me 30 neki likhi jayegi.

Salam ka sahi tarika Asalam.o.Alikom means"Tum par salamti ho" 

Salam karny ka galat tarika
 1)Asamu Alikom (tum ko mot aye) 2)Asama Alikom (tum khushi ko tarso) 3)sama Alikom (Tum barbad ho) 4)salama Alikom (tum par lanat ho).

Detail Description of Do Slam:


"Assalam o Alaikum” Kehne se 10 Nekiyaan milti hain, Saath mein “Warahmatullah” Bhi Kahenge to 20 Nekiyaan Milengi, & “Wabarakaatu” Shamil Karne se 30 Nekiyaan Milengi.
Assalam o Alaikum” kahe & isse behtar “Warahmatullah” Milaana & sub se Behtar “Wabarakaatu” shamil karna aur is se zyada nahi. Phir Salaam karne waley ne jitne Alfaaz mein Salaam kiya, jawab Mein Itne Ka Aada zaroor kare, aur Afzal yeh hai k Jawab mein kahe:Isne “Assalam o Alaikum” kaha to aap kahein “Walekum assalam” & agar isne kaha
Assalam o Alaikum Warahmatullah ” to yeh kahe “Walekum assalam Warahmatullah
kahe, aur agar Salaam karne waley ne “Assalam o Alaikum Warahmatullahe Wabarakaatu” kaha to aap bhi yeh kahey “Walekum assalam Warahmatullah Wabarakaatu.


Jab milo to salam karo aur jab juda ho to salam karo. Jitna ho sakte
ek dusre ko salam kiya karo, salam mein pahal karne wala ghamand
(gurur) se paak hota hai. Isliye kisi dusre ke salam karne ka intezaar
na karo, balke pahle khud aage hokar salam karo.  

bhaiyo-bahno Salam karna sunnat hai lekin jawab dena waajib hai,
matlab agar jawab na diya to gunah hoga. Ek momin ko dusre momin ko
salam karna chahiye, aur sunne wale ko jawab dena chahiye. Lekin ek
paraya mard ek parai aurat ko salam na kare.

So please dusro per salamti ka zareya bannany k leye pura or thik salam yani Asalam.0.Alikom kahe.



(Abu Dawood, Hadees#5100, Kitab ul Adab, Abwab us Salam, Baab:Salam kese krna chahiay
Imran R.A)

0 comments:

Post a Comment