♠ Posted by test in Nikah,Nikah in islam,nikah ka meaning in hindi,nikah ka meaning in urdu,nikah ki fazilat,Nikah kya hai
Islam main Nikah kya hai aur Nikah ki fazilat
Bismilla hirrahma nirraheem
NIKAH KI FAZILAT:
Nikah wo kaam hai jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho
jaayen" nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na
kare woh Nabi(s.a.w.) ke tareeqe par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye
nikah karta hai allah uski madad karta hai.
Nikah na karne se zameen me fasaad paida hota
hai nikah karne se jitni miyan biwi me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti,
nikah aadha deen he mardo ke liye aurton se badkar koi fitna
nahi"(mishkaat 268)" .
Kunwari larki se nikah karna behtar hai khoobsoorti
ka khyaal na kare balki deendaar aurat se nikah kare, musalman ke liye nek
aurat se badhkar aur koi cheez nahi hai jis nikah me kam kharch ho usme barkat
zyada hoti hai, jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekhle kyonki
ek baar dekhne se muhabbat paida hogi, nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori
hai agar kunwari haito uska chup rahna kaafi haiaur talaaqshuda ko zabaan se
kahna chahiye,
Nikah kis se ho sakta hain?
JINSE NIKAH NAHI kar sakte:
- sauteli maa.
- sagi maa.
- beti.
- bahan.
- fufi.
- khala.
- bhateeji.
- bhaanji.
- dhoodh wali maa (daai)
- saas
- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho
- sage beton ki biwi se
do(2)
sagi bahno se ek saathnikah me biwi aur uski fufi ko jama karna haraam hai aur
isi tarah biwi wa uski khaala ka jama karna bhi haram hai, musalman mard ka
nikah mushrika aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai,
behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se nikaah kare isi tarah
iman wali aurat ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,magar
Musalmano ko yahudion wa isaayion ki paak daaman aurton se nikah karna jayez
hain( mishkaat, bukhaari, surah nisa)