Search This Blog

Naat Sarif Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics

♠ Posted by test in at Tuesday, March 08, 2016

NAAT Sarif

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai Lyrics


Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.


Nasheed Information:

Singer: Owais Raza Qadri




Aye Mot Theher Ja Lyrics

Ae Mot Thahar Ja, mein Madinay tay jalawaan
suta hoya naseeb tay main apna jaga lawaan.

Mehboob da oh Gunmbad e Khazra tay dekh lawan
sarkar (SAW) di gali day nazaray tay paa lawan.

Lagay nay Mustafa day qadam jis zameen tey
Eik wari oss khak noun seenay tay laa lavan.

Sunaya aye har gareeb di sunday oh zariyaan
Main vi tay apnay gham di kahani suna lavaan.

Jee bhar kay roo lawan Dar e Aqdas day samnay
Akhyaan noun guft gue da tareeqa sikha lawaan.

Away jay Peer mout tay aaway hazaar bar
AZAM jay zindagi di aye hasrat mita levan.

Aie mout thahar jaa, main Madinay tey jaa lavaan
Suta huya naseeb tay mein apna jaga lavan.

Na’at Lyrics Information:
Naat Khawan: Owais Raza Qadri



0 comments:

Post a Comment