Search This Blog

Importance of Surah Yaseen or Fazilat or swab

♠ Posted by test in ,, at Saturday, August 01, 2015

Surah Yaseen ki Fazilat

Hadish 1:
Ummul mo’minin Hajarat Aaisha siddika R.A. Se Riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya kuraan me ek aeisi surat he jo allah ke najdik bari ajmat wali he. Jo use Parhega allah Taala usko sarif ke lakb se navazega ish surat ka name he Sure Yaseen.

Hadish 2:
HAZRAT-E-SAYIDUNA ANS(R.A) se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya:beshak har chiz ka Ek dil hai aur QURAN  Sarif ka dil SURAH-E-YASEEN hai aur jo aik martaba SURAH-E-YASEEN parhayga us k liye 10 martaba QURAN parhnay ka sawab likha jaye ga.

Hadish 3:
HAZRAT Abu Huraera R.A. Se Riwayt hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke jisne raat ke waqt Sure Yaseen parhi is haltme subah uthega ke wo bakhsa huva hoga.
Hadish 4:
Hazrat-e-Sayiduna MAQIL BIN YASSAR R.A. se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke ''surah-e-yaseen quran ka dil hai jo isay allah ki raza aur akhirat ki behtari k liye parhay ga us ki maghfirat kar di jayegi
Hadish 5:
hazrat-e-sayiduna ans R.A. se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke beshak har cheez ka aijk dil hota hai aur quran ka dil surah-e-yaseen hai aur jo aik martaba surah-e-yaseen parhayga us ke liye 10 martaba quran parhnay ka sawab likha jata hai.
Hadish 6:
hazrat-e-sayiduna ans R.A. se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke jo ashhks hamesha har raat yaseen ki tilawat krta rha phir mar gya tu wo shaheed ka martba payega.

Hadish 7:
hazrat-e-sayiduna ibn-e-abbas R.A. se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke;meri khawahish hai k surah-e-yaseen meri ummat k her insaan k dil main ho.
Hadish 8:
hazrat-e-sayiduna attah bin abu rabah tabi'e R.A. se riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke jo shakhs din ki ibtada main surah-e-yaseen ki tilawat kray ga,us ki tamaam haajaat puri kar di jayegi.
 
Hadish 9: 
hazrat-e-sayiduna ibn-e-abbas R.A. farmatay hain;jo shakhs bawaqt-e-subah surah-e-yaseen ki tilawat kray us din ki aasaani usay shaam tak atta ki jayegi,aur jis shakhs nay raat ki ibtadat main is ki tilawat ki usay subah tak us raat ki asani atta kar di jayegi.

Hadish 10:
hazrat-e-sayiduna maqal bin yasaar R.A. say riwayat hai ke RASOOLULLAH Sallaho Alayhi wasalamne farmaya ke yaaseen quran ka dil haui,jo shakhs is surah ki allah aur akhirat k liye tilawat krega,us k pehlay k gunah bakhs diye jayege.



0 comments:

Post a Comment