♠ Posted by test in surah kahf,Surah kahf ki fazilat
Surah e kahf Ki Fazilat
Hadish 1: Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jis shakhs ne Jumma ke din surah e kahf parha kyamat ke din sar se per tak aur zamin se aasman tak uske liye noor hi noor hoga aur dono jumma ke darmiyan gunah maaf kar diye jayenge.Hadish 2:
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki ibtedai 10 aayto ki tilavt karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.
Hadish 3:
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki ibtedai 3 aayto ki Yaad karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.
Hadish 4:
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ki akhri 10 aayte parhi karega wo Djjal ke fitno se mehfuj rahega.
Hadish 5:
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jo shakhs surah e kahf ka avval aur aakhir parha wo sar Ta-Pa munvvr ho jayega aur jo shakhs is surah ko mukmml prhega us ke liye zamin aur aasman ke drmiyan noor hi noor hoga.
Hadish 6: Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya he ke surah e kahf padhne se sukun milta he, isi liye kuran me nazil hui he.
Ye surah Karz ki adaygi, Dusmno ki zuban bandi, Garibi ko door karne, zulm se najat,haml ki hifazt ke moassr he, ek bujrug ka kaul he ke karj se chhutkara pane ke liye jumma ki nmaj ke baad ye surah pdhe allah se roji ke liye duva kre inshallah kabool hogi, jab tak karj khtm na ho har jumma padhte rhe.
Hamal ki hifazat ke liye aurto ko chahiye ke 40 roj tk baad fajr ki nmaj ke baad surah e kahf ko parhe inshallah uska hamal mehfuj rahega.
Agar koi sakhs garibi ka sikar ho, uski roji ka koi zaria na ban rha ho to use chahiye ke gyarah roj tak surah e kahf ko baad nmaj e isha prhe, inshallah us ki frakhi ka sabb ban jayega.
Agar koi shkhs ya aurat ek mahine me ek martba ish surat ko parh kr pani par dam kar ke apne mkan ki chat ke charo kono pr chhirk de to wo makan aaseb, jinn, bhoot aur saytan ke hamle se mehfuz rahega.
Jish irade se surah e kahf ko parha jayega allah taala apni rahmat se wo irada pura karega..