Ramzan me Last 10 Din ka kya Importance he
Shab-E-Qadr ki Raat Konsi hoti he?
Ye raat ramzan ke aakhri 10 dino mein se koi bhi ho sakti hai, 21, 23, 25, 27 aur 29 raat mein se koi ek raat par jyada jor diya jata he ki inme se koi raat shab e qadr ho sakti hai.
Ramzan ke aakhri 10 din mein sabse khaas cheez 'Shab-E-Qadr' hai, Shab-E-Qadr aisi raat hai ke agar koi insan is raat ko jaag kar Allah ki ibadat kar le to usko itna sawab milta hai ki soch b nahi sakta. kisi insan ko 10 raat bhi apni zindagi mein mil gai to matlab usko kam se kam 830 saal ki ibadat ka sawab milega Allah Pak chahe to isse zyada bhi de de unki rehmat me aur den me koi kami nahi he.Shab-E-Qadr bahut important raat hai iski humko qadar karni chahiye.
Ye raat ramzan ke aakhri 10 dino mein se koi bhi ho sakti hai, 21, 23, 25, 27 aur 29 raat mein se koi ek raat par jyada jor diya jata he ki inme se koi raat shab e qadr ho sakti hai.
Shab e qadr maghrib ke baad se hi shuru ho jaati hai, isliye ibadat ke liye der raat ka intezaar na karo, balke maghrib ke baad se hi ibadat mein lag jao,
Subah jaldi uthna jinki majburi hai wo raat ko jaldi so jaaen aur sehri se 2 ghante pahle uth jaaen, kyunki der raat ka time zyada keemti hai.
Ramzan ke Aakhri 10 din ke bare me hamare pyare nabi Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) kya karte the?
Jab ramzan ka akhiri ashra shuru ho jata to Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) Allah ki ibadat zyada karne ka irada kar lete. khud bhi puri raat jaagte aur gharwalo ko bhi jagaate- bukhari
hame bhi chahiye ki puri raat jaag kar Allah ki ibadat kare, shab-e-qadar bhi in 10 dino mein hi hoti hai,
Sab-E-Qadr me kiye jaane vaale aamal:
Ramzan ki aakhri 10 raato ko roz apni hesiyat ke hisab se kuch rupya sadka kariye,
Maghrib aur isha ki namaz ke baad roz 10 raato mein alag se namaze padhiye, kyunki shab-e-qadr to maghrib baad se hi shuru ho jaati hai, is time me jyada se jyada nmaj pdhe jese ki :
- Koi bhi nafil padh sakte hain.
- Salatut tasbeeh bhi padh sakte hain.
- Quran shareef ki tilawat bhi kar sakte hain.
- kaza e umri ho to wo padhiye.
Aakhri ke 10 dino mein roz Kam se kam 3 baar surah ikhlas (qul hu wallahu ahad) padh lijiye, iska sawab 1 quran shareef ke sawab ke barabar hota hai.
Say Aameen in comment and join with us for more information about islam.
0 comments:
Post a Comment