♠ Posted by test in Fidya ka Fatwa,fidya ka fatwa in hindi,fidya ka fatwa in urdu,Ramzan at Thursday, July 16, 2015
Fidya Dene Ka Fatwa
Koi Muslim Agar Koi Jaiz Wajah Se Roza Na Rakh Paya To Fidya kis Tarh De
Agar koi inshan bimari/budhape ki wajah se ramzan ke roze na
rakh paya aur baad me bhi uske thik hone ya kamzori door hone ki ummid nahi hai
to usko chahiye ke har roze ka 'fidya' ada kare, matlab har roze ke badle kisi
gareeb ko 2 time (subah-shaam) khana khila de. Ya usko itna pesa de de ke jisse
wo 2 time khana kha sake
Agar 30 roze nahi rakhe hain to kisi gareeb ko 30 din tak
subah shaam khana khila de, ya usko iske barabar pesa de de.
Agar kisi ke zindagi mein roze kaza ho, aur marte waqt
wariso ko rozo ke badle 'fidya' dene ki wasiyat kar gaya to uske waariso ko
fidya dena chahiye.
Kisi bimar aadmi ko aage bhi accha hone ki ummid nahi
thi aur usne rozo ka fidya de diya, lekin aage chal kar wo accha ho gaya to ab
usko ramzan ke kaza roze rakhna honge, aur jo fidya diya uska sawab bhi milega.
Agar marne wale ke roze kaza the, lekin wo fidya dene ki
wasiyat karke nahi gaya, marne wale ke maal se fidya nahi diya ja sakta, jab
tak ke uske saare waaris ki marji na ho, agar marne vale ke bacche apne khud ki daulat se uska
fidya de de to Allah jarur kubul karenge.
Allah Pak Hum Sabko Sahi Tariqe Se Jindgi Gujarne ke hidayt de.....
0 comments:
Post a Comment