♠ Posted by test in darood e ibrahim ka meaning,darood e ibrahim ki fazilat,darood sarif,darood sarif ka swab,darood sarif ki fazilate,durood sarif at Thursday, July 23, 2015
Darood Sarif Padhne Ka Behisab Swab Aur Benefits
Darood E Ibrahim
ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMAA SALLAITA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMIDUM MAJID. ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMAA BAARAKTA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMIDUM MAJID.
“O Allah, let Your Blessings come upon Muhammad and the family of Muhammad, as you have blessed Ibrahim and his family. Truly, You are Praiseworthy and Glorious. Allah, bless Muhammad and the family of Muhammad, as you have blessed Ibrahim and his family. Truly, You are Praiseworthy and Glorious”.
“O Allah, let Your Blessings come upon Muhammad and the family of Muhammad, as you have blessed Ibrahim and his family. Truly, You are Praiseworthy and Glorious. Allah, bless Muhammad and the family of Muhammad, as you have blessed Ibrahim and his family. Truly, You are Praiseworthy and Glorious”.
- Pyare Nabi (s.a.w) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge.
- Darood Sarif Padhne Vala dozakh se bari hai.
- Ek Momin darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le lete hai.
- Darood se aamal pak hota hai
- Darood padhne ka sawab gulam azad karne se bhi behtar hai.
- Darood padhne wale par Pyare Nabi(s.a.w.) ki shifa’at wajib hojati hai.
- Darood padhne wale ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai
- Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai
- Darood padhne se darajat buland hote hai
- Darood gunaho ka kafara hai
- Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai
- Darood padhne wale ki nekiyoun ka palla bhari hoga.
- Darood padhne wale qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoge.
- Darood padhne wala pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega.
- Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai.
- Darood padhna ibadat hai.
- Darood pak tangdasti ko dur karta hai.
- Jo Darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga
- Darood padh kar kisi marhoom ko bakhsha jaye to marhoom ko bhi swab milta hai.
- Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai.
- Darood padhne wale ka dil zang se pak hojata hai.
- Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz rehta hai
- Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai.
- Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai.
- Darood pak aashiqo ki meeraj hai
0 comments:
Post a Comment