Search This Blog

Ramzan : Etekaaf Mein Bethne ka Sawab aur Fazilat

♠ Posted by uvesh in , at Sunday, July 05, 2015

Etekaaf Mein Bethne Ka BeHisab Sawab Aur Fazilat


Ramzan ka etekaaf -


Ramzan Mahine  me  21vi raat se lekar chaand raat tak masjid mein rahna etekaaf kehlata hai. Iska bahut sawab hai.


1. Etekaaf mein bethne wala Allah Pak ka mehmaan ban jata hai, Mezbaan agar Allah hai to apne mehmaan par kitni rahmat aur barkat farmaega Besak Etekaaf bahut achchhi ibadat he.

2. Etekaaf Mein Bethna hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki sunnat hai, Isliye etekaaf mein bethne se sunnat ka sawab bhi milta hai aur ramzan me bethne se sunnat ka swab farz ke jitna milta he.

3. Etekaaf mein bethne se humko shab-e-qadr bhi mil jaati hai jis raat kisi ko malum nhi ki konsi raat he agr bandaa roj jagega to jarur shab-e-qadr payega, is raat ka sawab 1000 mahino se bhi badhkar hai.

4. Etekaaf mein bethne se hi uski ibadat suru ho jati . Etekaaf me banda ibadat to karta hi hai lekin uska letna, bethna, khana-peena bhi sawab mein likha jata hai.

5. Etekaaf mein bethne se achchhi baat ye he ki insan duniya se door ho jata hai, isliye yaha Allah ke nazdeek hona aasana ho jata he.

6. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya jo 10 din etekaaf mein beththa hai usko 2 haj aur 2 umrah ka sawab milta hai.

7. Etekaaf Mein betha insan masjid se bahar nahi nikal sakta, Isliye masjid ke bahar waale sawab ke kaam mein hissa nahi le paata, jese beemar ko dekhne jana, kisi ki mayyat mein shaamil hona, logo ki madad karna wagerah, lekin etekaaf mein bethne walo ko aese kaamo ka bhi sawab milta rahta hai bager kaam kiye...bhala Etekaaf jesi koi ibadat hi nahi jisme bager kam kiye swab milta he.


Jo insan Allah ke liye ek din bhi etekaaf mein bethta hai Allah uske aur dozakh ke beech 3 khaiyan kar deta hai, jiske beech ki duri aasman aur zameen ki duri se bhi zyada hai, jab ek din ka itna sawab hai to 10 din bethne par kitna hoga.

Allah Pak ne Aurto ko bi ye nasib kiya he bhale wo Masjid me nahi ja sakte Lekin wo bhi apne ghar ke kone mein etekaaf ki niyat karke beth sakti he aur Etekaaf ka swab hasil kar sakti he.


Hey Momino Jra dhyan se socho Apne dusre kam ke liye 15-20 din ki chhutti le sakte he, to kya sirf 10 din ke liye itne faida ke dino ke liye chhutti nahi le sakte, isme Etekaaf mein bethne ka sawab alag, shab-e-qadr mil jayegi , yaani sawab hi sawab dusre kamo me kuchh nahi milega jo Etekaaf me milega.

Allah Pak hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.
Comment with Aameen and join with us.




0 comments:

Post a Comment