♠ Posted by test in salatut tasbih ki nmaz at Saturday, July 11, 2015
Salatut Tasbeeh Ki Nmaz
Hazrat Abdullah Ibne Abbas (radi allahu anhu) Se Rivayat he ke :
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ek din apne chacha Hazrat Abbas
(radi allahu anhu) Se Farmaya Ke Aye Chacha, Kya Mein Aap Ki Khidmat Me Ek Qimti HADIYA[gift]
Na Pesh Karu? Kya ek Fayde vaali baat na btavu? Kya aapke 10 kam aur 10 khidmat
kru? Means ye aisi chij he jisse apko 10 fayde hoge aur Wo Amal Esa He Ke Jis
Se Allah Aap Ke Sare Gunah Maaf Farma Dega :
- Agle Sab Gunah.
- Pichhle Sab Gunah.
- Purane Gunah.
- Naye Sab Gunah.
- Bhul Se Huwe Sab Gunah.
- Jan Bujh Kar Kiye Gaye Sab Gunah.
- Chote Gunah.
- Bade Gunah.
- Chup Kar Kiye Gaye Guna.
- Sab Ke Samne Kiye Gaye Gunah Sab Ke Sab Gunah Allah IS Amal Se MAAF Farma Dega.
Slatut Tasbih Ki Nmaz ka tarika ye he ki :
App ek salam se 4 rkaa’t pdhe har rkaa’t me surah Fatiha aur
koi ek surah pdhe.
Slatut Tasbih Ki Nmaz ka tarika Detail me :
Nmaz ki niyyat kaise kare:
Niyat karta hum mein 4 rakat namat nafal, salatut tasbeeh
ki, waqt (jo bhi ho kahiye), waaste Allah ke, muh mera kaaba sharif ki taraf.
Kiyam:
Allahu akabar kehkar haath baandh lijiye, ab sana padhiye.
sana ke baad 15 baar ye tasbeeh padhiye “subhan allahi wal hamdu lillahi walai
laaha illallaahu wallahu akbar” iske baad Alhamdu Sharif aur quran ki ek surah
padhenge, phir 10 baar yahi tasbeeh padhenge.
Ruku:
Allahu akbar kehkar ruku mein chale jayenge, ruku ki tasbeeh
padhne ke baad 10 baar upar batai tasbeeh padhenge.phir 'Sami allahuleman
hamida' kehkar ruku se khade ho jayenge aur 10 baar wahi tasbeeh padhenge.
Sajda :
Phir Allahu akbar kehkar sajda mein chale jayenge, sajda ki
tasbeeh padhneke baad phir upar batai tasbeeh 10 baar padhenge phir pahle sajde
se Allahu akbar kehar uth jayenge, ab yaha 10 baar tasbeeh padhenge, aur Allahu
akbar kehkar dusre sajda mein chale jayenge, dusre sajda mein bhi sajda ki
tasbeeh padhne ke baad 10 baar wahi tasbeeh padhenge, phir Allahu akbar kehte
hue dusri rakat ke liye khade ho jayenge.
Dushri Rakat:
Ab alhamdu sharif se pahle 15 baar tasbeeh padhenge. Isi
tarah dusri rakat puri karenge, dusri rakat mein dusre sajda ke baad kaida mein
(attahiyat) ke liye beth jaayenge aur attahiyaat padh kar Teesri Rkaa’t ke liye
khade ho jayenge.
Teesri rkaa’t:
teesri rakaat ke liye
khade ho jayenge ab alhamdu sharif se pahle 15 baar tasbeeh padhenge aur isi
tarh pehli rakka’t ke jese Teesri rakaat puri krenge.
Chowthi Rakaa’t:
chowti rakaa’t bhi isi tarah puri karenge kaidah me beth ker
Attahiyat, Durede Ibhrahim aur Duva-e-kunut padhe aur Salam fer de .
Agar Ho Sake To Rozana Ye Namaz Padhna Warna Hafta[week] Me
Ek Martaba Ya Mahine Me Ek Martaba Ya Saal Me Ya (kam se kam) Zindagi Me Ek
baar Zaroor Parhna.
Namaz Aaram se padhiye, aur tasbeeh ke pure lafz ada kijiye,
jaldi-jaldi mein lafz galat ada ho sakte hain, Namaz ke baad Allah se apne gunaho ki maafi maangiye.
Is namaz mein jo gunaho ki maafi ki baat hai, usse matlab
chhote (sagira) gunah hain, kyonki kabira (bade) gunah Allah se bager maafi
maange maaf nahi hote, aur kuch gunah aese hain, jab tak wo insan humko maaf na
kare jiske saath humne kuch bura kiya hai, tab tak Allah bhi maaf nahi karta,
isliye us tarah ke gunaho ke liye us insan se bhi maafi maang lena bethar hai,
Isliye namaz ke baad Allah se apne kabira gunaho ki ro-ro
kar maafi maangiye aur rona na aaye to rone jesi awaz aur muh banaiye, aur un
gunaho ko aage na karne ka pakka irada kariye. Aur jiske saath humne kuch bura
kar diya tha usse bhi maafi maang lo, maafi maangne se koi chhota nahi ho jata,
balke saamne waale ke dil mein hamari hi izzat badhegi.
Allah Hum Sab Ko Ye Namaz Padhne ki Taufeeq Ata Farmaye
Aameen.
4 comments:
Do din se es salatul namaj ka tarika search kar rahi thi ,aaj bahut saf &aasan tarikese,malumat ho gai ,bahot bahot shukriya Shamim Patel Lengare
What is the correct time for this namaj??
Thank you bhai ahmiyat chij ko upload ki khuda hafiz
Shukriya Bhaiya mujhe BHI iske bare me kam malum tha allah apko hamesha khush aur aabad rakhe
Post a Comment